Jagjit Singh | Jagjit Singh at Mumbai Nehru Centre

Jagjit Singh performed on December 17 at Mumbai Nehru Centre to pay tribute to the martyrs who fights against the terrorists in Mumbai. All the names of the martyrs were printed on the banner on the stage. It was organised by Jaspal Enterprises Limited and India First Foundation. Many donations had been made through Jagjit Singh to Mumbai Police.

Jagjit Singh charmed the audiences with his melodies and soulful voice and was highly appreciated by the audiences. Jagjit Singh performed at the event for free to pay respect to the brave martyrs.

Jagjit Singh Ghazals | Yu zindagi ki raah me

This ghazal is a duet from Jagjit Singh and
his wife Chitra Singh.

Yu zindagi ki raah me majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum door ho gaye

aisa naheeN ke humko koi bhee khushi nahiN
lekin ye zindagi to koi zindagi nahiN
kyooN iske faisle hameN manzoor ho gaye

paaya tumHe to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya
palkoN se khwaab kyooN gire kyooN choor ho gaye

Download the ghazal: Yu zindagi ki raah me

(Right Click and "Save Target As")

Jagjit Singh Ghazals | Ye Kare Aur Wo Kare

Ye Kare Aur Wo Kare Aisa Karen Waisa Kare,
Zindagi Do Din Ki Hai Do Din Mein Hum Kya Kya Kare

Jee Mein Aaata Hai Ki Dein Parde Se Parde Ka Jawaab,
Hum Se Wo Parda Karen Duniyaa Se Hum Parda Kare

Sun Raha Hoon Kuch Lutere Aa Gayey Hain Shehar Mein,
Aap Jaldi Bandh Apne Ghar Ka Darwazaa Karen

Is Puraani Be-wafa Duniya Ka Rona Kab Talak,
Aaiyey Mil-jul Ke Ik Duniya Nayee Paida Karen

Download: Yeh Kare Aur Woh Kare
("Save Target As")

Jagjit Singh Ghazals | Uski Baten To Phool Hon Jaise

Uski Baten To Phool Hon Jaise,
Baki Baten Babul Ho Jaise,

Choti Choti Si Uski Wo Akhe,
Do Chameli Ke Phool Ho Jaise,

Uski Haskar Nazar Zhuka Lena,
Sari Sharte Kubul Ho Jaise,

Kitni Dilkash Hai Uski Khamoshi,
Sari Baten Phijul Ho Jaise

Download at: http://ghazal.110mb.com/jagjit/uski-baten-to-phool-ho-jaise.html